Tuesday 29 March 2016

Facebook ka Theme (Colour) Change Kaise Karte hai






Dosto facebook ek aise socal networking site hai jiske jariye hum puri duniya se hamesa jude rahte haiIske duara hum apne dosto, bhai bandhu se hamesa chatting karte rahte hai.Facebook ko Mark Zuckerberg ne isse 4 Feb 2004 ko banaya aur aaj ise duniya ka har ek aadmi iske baare me janta hai.




Mark zukarbarg ko BLUE (Nila) rang bahut pasand tha isliye unhone ise BLUE rang se banaya. Agar hum ise kahi bhi open karte hai to ye hamesa blue rang me hi open hota hai, To dosto hum baat kar rahe hai ki iske colar ko kaise change karte hai, Ise change karna bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare….





Step 1 :----
Sabse pahle hum apne PC or laptop me Google chrome browser or Mozila firefox browser open karte hai.



To mai yaha Google Chrome use kar raha hu, Browser open hone ke baad ham https://userstyles.org/ site pr jayenge, site open hone ke baad facebook theme pr click kare.




Step 2 :-----

Facebook theme pr click karte hi new page open hoga jisme bahut se alag-alag colar ke facebook theme honge aapko usme se jo bhi pasand ho aap uspr click ke sakte hai,
Mai yaha Minimalist Facebook 2015 pr click kr raha hu.




Step 3 :----
Minimalist Facebook 2015 par click karte hi ek new page open hoga.

1.   Usme To use this style, first install Stylish par click kare,
2.   Phir Add extension par click kare,


Ise install hone ke baad browser ke Restore kar dete hai (Close kar ke phir se open karte hai)




Step 4 :----

Browser ko open karne ke baad aap dekhte hai ki browser me new option add ho gaya hai.

1.   Aap yaha par Stylish Toolbar Dekh sakte hai,
2.   Install with Stylish par click kare,
3.   Phir OK par click kare,


Uske baad new tab me apna facebook account open kare ab aap dekhange ki aapka facebook ka Theme (colour) change ho gaya hai, isi prakar aap bahut se stylish ko download kr sakte hai, jaise ki mera facbook ka colour hai aap dekh sakte hai.


To dosto ye raha facebook ka colour kaise change karte hai agar aapko apne facebook ka colour change karne me ki pooblem hoti hai to aap comment kr ke puch sakte hai.....

Saturday 26 March 2016

Internet Download Manager Ko Full Version Me Kaise Kare






Dosto ham hamesa internet use karte hai. Internet se hum kisi bhi file ko dowonload karte hai. Jaise :--- Mkv, Mp4, Avi, Jpg, Png, Gif, Swf, Zip, pdf file etc….



Kisi bhi file ko download karne ke liye hum aksar Internet Download Manager software ka use karte hai yah ek bahut hi accha software hai. isse software se hame file ko kharab hone ki sambhauna nhi rahta.




Yeh hame aksar full version me nhi milta hai ye kuch din ke baad Serial code mangne lagta hai aur kaam karna band kar deta hai. to chaliye hum jante hai ki isko full version me kaise badle.




Internet Download Manager Ko Full Version Kaise Kare



Step 1 :----
Sabse pahle aap Niche Diye Download Par click karke Internet Download Manager Ko Download Kare.

Ye ek zip file me hai ise unzip karne ke baad folder ke ander diye gaye Idman607 exe file ko open kar ke Internet Download Manager ko install kare

Ab install hone ke baad finish par click kare.


Step 2 :----
Phir Start>>All program>> Internet Download Manager pr right click kar ke properties pr click kare.


Step 3 :----
Ab pic ke anusar khuli hui window me Open file location pr click kare.



Step 4 :----
Open file location pr click karte hi o folder khul jayega jo program file ke ander hai



Step 5 :----
Ab aapne jo IDM download kiya tha usse open karke usme ek folder hoga usse open kare
Ise open hone ke baad aapko 3 file milega aap in tino file ko select karke copy kar le.



Step 6 :----
Ab o folder open kare jo aapne interner doenload manager ke icon pe click kiya tha (jaise ki step 4 me bataya gaya tha)
Folder khulne ke baad right click kare aur copy hui file ko paste kar de.


Step 7 :----
Paste karne ke baad Copy and Replace pr click kar de. Jiase ki pic me dikhaya gaya hai.




Step 8 :----
Iske baad Continue pr click kar de.

Ab aap ise open karke full virsion ka maza le


Note:---
Agar IDM open karne ke baad iske samne update karne ka option aaye to No kar de agar aap usse Yes karte hi to full version kahtam ho jayega.

Computer Me Whatsapp Kaise Chalaye Bina Kisi Software Ke



Whatsapp aaj-kal chalne wala sabse jayada popular apps hai.Log ab apne mobile me SMS pack nahin dalwate sirf Whatsapp se hi chating karte hai. Agar video, photo ya aur bhi koi file kisi ke pass send karna ho toh kuch second me bhej sakte hai.Log whatsapp ko apne laptop or pc pr bhi chalana chahte hai toh iske liye hame apne PC me software install karna padta hai. To chaliye hun jante hai ki bina kisi software ke madad se ise kaise chalate hai. Aap mujhe bs Step by Step follow kare


Note :---- Agar aap apne mobile pr Whatsapp use karte hai to hi aap ise PC pr chala sakte hai aur PC me bhi sirf Google chrome me hi chala sakte hai.




Computer Me Whatsapp Kaise Calaye


Step 1 :----
Sabse pahle aap apne LAPTOP/PC me Google chrome open kare aur niche diye gaye website ko open kare.

https://web.whatsapp.com/

Website ko open hone ke baad CLICK TO RELOAD QR CODE pr click kare jaise ki pic me diya gaya hai



Step 2 :----

Jaise hi aap CLICK TO RELOAD QR CODE pr click karange to ek code dikhai dega jise QR code kahte hai.



Step 3 :----
Ab  aap apne mobile me Whatsapp open kare phir menu me jaye aur  Whatsapp Web pr click kare.


Step 4 :----
Whatsapp web pe click karne ke baad OK, GO IT par click kare.


Step 5 :----
Jaise hi aap OK, GO IT  pr click karnge to aapke mobile ka camera open ho jayega jise hum QR scanner kahte hai. Jaise niche pic me diya gaya hai, Phir aap apne moble se us code ko scan kare jo aapke computer me hai.


Scan hone ke baad Whatsapp aapke computer me apne aap open ho jayega.




Computer par whatsapp paryog karne ke baad aapko ise logout kar dena chahiye jisse ki aapka account safe rahe. Logout karne ke do tarike hai.
Computer se logout kare: Computer se logout karne ke liye menu par click kare aur Logout kr de. Mobile se logout karne ke liye mobile app main Menu >> WhatsApp Web main jaye aur Logout from all computers par click kr de.


Agar aapko koi bhi dikat aati  hai to aap comment kar ke puch sakte hai…

Friday 25 March 2016

Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye





Dosto agar kahi bhi gana bajta hai to us gane ke Album Art me ek pic rahta hai chahe o gana pc me ho ya mobile me agar us pic ki jagha apna pic ho to accha lagta hai. To chaliye jante hai ki Mp3 Song me apna photo kaise lagate hai. Song me pic lagana bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare.







Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye


Step 1 :----
Sabse pahle aap niche diye gaye Download Par click kar ke Mp3tag software ko download kar ke apne Laptop or PC me install kar le



Step 2 :----
Phir software ko open karne ke baad usme kuch song ko select kar dal le.


Song ko software me dalne ke baad pure song ko select kar le uske baad aap side me diye huye box dekh sakte hai ki yaha se aap song ko edit kar sakte hai jaise ki Song ka Tital, Artist, Album, Year, etc…. jo chahe o change kar sakte hai.





Step 3 :----


1.   Ab pic ke aanusar Extended Tag par click kare,
2.   Extended tag par click karne ke baad ek window open hoga usme aap Add cover par click karke apne computer me save kisi bhi photo ko laga sakte hai,
3.   Phir OK par click kare.


Step 4 :----
Ok par click karne ke baad ek Window open hoga usme OK par click kare.


Ab aap apne song me Album Art chek kare aap dekhenge ki song me aapka pic lag gaya hai.

Agar aapko koi dikat aati hai to aap comment kar ke puch sakte hai…….

Thursday 24 March 2016

Computer Ke Kharab Files Ko Delete Kaise Karte Hai





Jab bhi ham Computer par kaam karte hai to kuch file apne aap computer me save hota rahta hai. Jiski wajha se hamara Computer Slow kaam karne lagta hai, To ham us file ko DISK CLEANUP ki madad se Delete kar sakte hai jo hamare Computer ka hi ek program hai, Disk Cleanup se ham jab kharab file ko delete kar dete hai to hamara Computer fast kaam karne lagta hai isliye apne compuer ke kharab file ko delete karna jaruri rahta hai. To chaliye jante hai apne computer ke file ke delete kaise karte hai, ise delete karna bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare…




Computer Ke Kharab File Ko Delete Kaise Karte Hai.

Step 1 :----
Sabse pahle aap Computer me. Start >> All Programs >> Accessories >> System Tools >> Disk Cleanup par click kare.


Step 2 :----
Disk Cleanup par click karte hi ek window open hota hai jaisa ki aap niche pic me dekh sakte hai uske baad OK par click kare.


Step 3 :----
OK par click ke baad ek new window open hota hai jo kharab file ko serch karta hai



Step 4 :----
Phir aapke samne ek new window open hota hai

1.   Yaha sabhi par mark ka nisan kare.
2.   Aap yaha dekh sakte kitna MB..or GB ki file hai.
Phir OK par click kare.

Step 5 :----
Phir ek window open hoga usme Delete Files par click kare.


Step 6 :----
Delete files par click karne ke baad ek windows open hota hai jisme file delete hone ke baad window apne aap Close ho jata hai.


Ab aap dekhenge ki aapka computer fast kaam karne lagta hai,
Agar aapka koi problem hoti hai to aap comment kar ke puch sakte hai..

Apne Computer Ki Puri Jankari Kaise Dekhe Ek Jagha





Isme ham janege ki apne Copmuter ki puri jankari (details) kaise dekhe,
Agar jab bhi ham new Computer kharidne jate hai to hame uske bare me puri jankari pata hoti hai jaise ki Madarboard, Prosesar, Hardisk, Ram, ete…kaun si hai, kaun si company ki hai, kitna hai.



Aur jab ham kisi  ke pass purana Computer kharidne jate hai to uski jankari hame nhi hoti dukandar jo bhi bolta hai hame uske baat par biswas karna padta hai. Aksar ham Raim, Prosesar ki jankari Systam ki Property me jakar dekhte hai lekin hame hame bs kuch jankari milti hai aur kai baar galat jankari bhi milti hai jaise ki kuch log is jankari ko change kar dete hai. To chailye ham jante hai ki iski puri jankari kaise dekh sakte hai



Yaha Mai Aapko 2 Tarika Batane Ja Raha Hu.

Pahla Tarika


Sabse pahle aap Run me jaye Window+R daba kar phir waha Dxdiag type kare phir Enter dabaye ya OK par click kare.


Jaise hi aap Enter karenge aapke samne ek windows open hogi usme aap apne Computer ki puri jankari dekh sakte hai






_____________________________________________

Dusra Tarika

Sabse pahle aap Start >> All program >> Accessories >> Systam tools >> Systam information par click kare.

Ab ek new windows open hogi jisme Computer ki puri jankari hogi jaise ki aap niche pic me dekh sakte hai.


Agar aapka koi sawal ho to comment kare ya phir aap hamare Contact Form me jakar apna sawal puch sakte hai.

Pendrive Ko Bootable Kaise Banay





Aal-kal kisi bhi computer me Oprating Windows install karna bahut aasan baat hai bas bootable CD lagaye aur windows install kar liye lekin jab kisi system me DVD Rom nahi hoti ya kharab hoti hai to aise halat me har koi windows install nhi kar sakta. Aisi halat me windows Pendrive se install ki ja sakti hai. Aise time me hame Pendrive ko bootable karna jaruri hota hai, Waise CD ho ya Pendrive kisi ko bhi bootable banana ke liye booting file ka hona jaruri hota hai, Pendrive ko bootable banana ke liye hamare pass kam se kam 4GB ki pendrive hona chahiye, Agar windows-XP hai to uske liye 2GB ya usse zayada ki pendrive honi chahiye. To chaliye jante hai Pendrive ho bootable kaise banaye. Mai aapko 2 aasan tarika batane ja raha hu bas aap mujhe follow kare….




Pendrive Ko Bootable Kaise Banate Hai

Pahla Tarika

Step 1 :----
Sabse pahle niche diye gye Download par click karke  WiNToBootic naam ki software download kare.


Download hone ke baad unzip kar lijiye,
Unzip hone ke baad WiNToBootic par Double click kijiye
  

     
Ab aapke samne uska hoom screen aa jayega


Yaha par aapko 2 option milenge Plug in USB Flash/Hard Disk aur Drop Source or Click


Step 2 :----
Ab aap apne system me Pendrive lagaye


1.  Yaha par apna Pendrive dekh sakte hai,
2.  Quick Format me mark ka nisan lagaye,




Step 3 :----
Ab Drop Source or Click par click karke apne computer me padi Windows-XP, Windows-7 ya Windows-8 ke IOS file ko selest kijiye. Ab kuch is traha dikhai dega.

Ab Do it par click kare,

Step 4 :----
Ab aapki pendrive format hone lagegi aur usme windows copy hone lagega jaise ki niche pic me diya hai,


Ab kuch der wait kare uske baad aapke samse ek new window open hogi usme Content weitten in me kuch time aayega jab ye time pura ho jaye uske baad Thanks par click kar de.

Ab aapki Bootable Pendrive taiyar hai windows install karne ke liye…


____________________________________________________

Dusra tarika

Yeh tarika bahut hi aasan hai

Sabse pahle ham niche diye gaye Download par click karke Rufus naam ka software download kare.

Stap 2 :----
Download hone ke baad ise open kare.

1.  Yaha apna Pendrive Select kare,
2.  Yaha IOS Image Select kare,
3.  Yaha se apne Computer me save ki hui Window file open kare,
4.  Phir Start par click kare,

Ab kuch time tak wait kare jb pura Prosess ho haye to close kar de,
Ab aapka Bootable Pendrive taiyar hai Windows install karne ke liye

Aapko ye jankari kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye…….aur aapka koi sawal ho to puchna na bhule……

THANK YOU…….