Thursday 17 March 2016

Hidden File Folder Ko Show Kaise Kare



Jab bhi ham computer par kaam karte hai to kuch file Hide ho jati hai aur kuch file aur folder pahle se hi Hide rahti hai to is Article me janenge us File Folder Ko Show (Unhide) kaise karte hai. waise to Alag-alag Operating System me alag-alag tarika se Show karte hai lekin mai aapko Ek tarika bata raha hu jisse aap sabhi Operating System jaise Window 7,8,x.10 or vista me ek hi tarika se Hidden File ko Show kar sakte hai. bs aap mujhe Step by step follow kare.



Step 1 :----
Sabse pahle aap Start par click karke Control Panel par click kare.

Step 2 :----
Control panel par click karne ke baad Appearance and Personalization par click kare.




Step 3 :----
Appearance and Personalization par click karne ke baad Folder Options par click kare.


Step 4 :----
Folder Options par click karte hi ek Pop up window open hoga.

1.   View par click kare
2.   Show hidden files. folder. and drives par click kare
3.   Phir Apply par click kare
4.   Uske baad OK par click kare

Ab to aap samjh hi gye honge hodden file ko show kaise karte hai. ya phir aapko koi problem hoti hai to neeche comment karke puch sakte hai. aur ye bhi bataye ki ye post aapko kaisa laga.

No comments:

Post a Comment