Thursday 17 March 2016

MicroSoft Office Ko PDF Me Save Kaise Karte Hai

Aaj mai aapko MicroSoft Office Documents Ko PDF file me save karne ke bare me bataunga
Dosto jab bhi ham kisi Documents ko MicroSoft Office me likhte hai ya type karte hai aur usse jab bhi Save karte hai to (.docx) File me save hota hai. Waise to Ms Office ko save karne ke bahut se format hai jaise  ( .docm .dotx .dotm .docb .doc  .dot ) etc. To chaliye jante hai ussi Documents ko PDF ( Portable Document Format ) Save kaise kare isse pahle mai Google Chrome me kisi bhi web page ko PDF me save karne ke bare bata chukka hu.

MicroSoft Office 2007 Ko PDF Me Save Kaise Kare

Step 1 :----
Sabse pahle aap niche diye gye Download par click karke Save As PDF naam ka software download karke apne Computer me install kare.

Step 2 :----
Phir aap MicroSoft Office ko open karke apna Document ko Type kare. Document Type karne ke baad Office Button par click karne ke baad Save As par click kare.

Step 3 :----
Save As par click karte hi ek new Window open hoga.

1.   File name ke samne apne Document ka naam likhe,
2.   Phir Save as type ko select karke usme PDF ko select kare.

Step 4 :----
PDF select karne ke baad Save par click kare.

Ab aapka Documents PDF file me save ho gya hoga.

Agar aapko Documents ko save karne me koi problem hoti hai to niche comment kare aur ye bhi bataye ki ye post aapko kaisa laga ya phir aapka koi bhi sawal ho to comment karke puchna na bhule.

No comments:

Post a Comment