Friday 25 March 2016

Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye





Dosto agar kahi bhi gana bajta hai to us gane ke Album Art me ek pic rahta hai chahe o gana pc me ho ya mobile me agar us pic ki jagha apna pic ho to accha lagta hai. To chaliye jante hai ki Mp3 Song me apna photo kaise lagate hai. Song me pic lagana bahut hi aasan hai bas aap mujhe step by step follow kare.







Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye


Step 1 :----
Sabse pahle aap niche diye gaye Download Par click kar ke Mp3tag software ko download kar ke apne Laptop or PC me install kar le



Step 2 :----
Phir software ko open karne ke baad usme kuch song ko select kar dal le.


Song ko software me dalne ke baad pure song ko select kar le uske baad aap side me diye huye box dekh sakte hai ki yaha se aap song ko edit kar sakte hai jaise ki Song ka Tital, Artist, Album, Year, etc…. jo chahe o change kar sakte hai.





Step 3 :----


1.   Ab pic ke aanusar Extended Tag par click kare,
2.   Extended tag par click karne ke baad ek window open hoga usme aap Add cover par click karke apne computer me save kisi bhi photo ko laga sakte hai,
3.   Phir OK par click kare.


Step 4 :----
Ok par click karne ke baad ek Window open hoga usme OK par click kare.


Ab aap apne song me Album Art chek kare aap dekhenge ki song me aapka pic lag gaya hai.

Agar aapko koi dikat aati hai to aap comment kar ke puch sakte hai…….

No comments:

Post a Comment