Thursday 24 March 2016

Pendrive Ko Bootable Kaise Banay





Aal-kal kisi bhi computer me Oprating Windows install karna bahut aasan baat hai bas bootable CD lagaye aur windows install kar liye lekin jab kisi system me DVD Rom nahi hoti ya kharab hoti hai to aise halat me har koi windows install nhi kar sakta. Aisi halat me windows Pendrive se install ki ja sakti hai. Aise time me hame Pendrive ko bootable karna jaruri hota hai, Waise CD ho ya Pendrive kisi ko bhi bootable banana ke liye booting file ka hona jaruri hota hai, Pendrive ko bootable banana ke liye hamare pass kam se kam 4GB ki pendrive hona chahiye, Agar windows-XP hai to uske liye 2GB ya usse zayada ki pendrive honi chahiye. To chaliye jante hai Pendrive ho bootable kaise banaye. Mai aapko 2 aasan tarika batane ja raha hu bas aap mujhe follow kare….




Pendrive Ko Bootable Kaise Banate Hai

Pahla Tarika

Step 1 :----
Sabse pahle niche diye gye Download par click karke  WiNToBootic naam ki software download kare.


Download hone ke baad unzip kar lijiye,
Unzip hone ke baad WiNToBootic par Double click kijiye
  

     
Ab aapke samne uska hoom screen aa jayega


Yaha par aapko 2 option milenge Plug in USB Flash/Hard Disk aur Drop Source or Click


Step 2 :----
Ab aap apne system me Pendrive lagaye


1.  Yaha par apna Pendrive dekh sakte hai,
2.  Quick Format me mark ka nisan lagaye,




Step 3 :----
Ab Drop Source or Click par click karke apne computer me padi Windows-XP, Windows-7 ya Windows-8 ke IOS file ko selest kijiye. Ab kuch is traha dikhai dega.

Ab Do it par click kare,

Step 4 :----
Ab aapki pendrive format hone lagegi aur usme windows copy hone lagega jaise ki niche pic me diya hai,


Ab kuch der wait kare uske baad aapke samse ek new window open hogi usme Content weitten in me kuch time aayega jab ye time pura ho jaye uske baad Thanks par click kar de.

Ab aapki Bootable Pendrive taiyar hai windows install karne ke liye…


____________________________________________________

Dusra tarika

Yeh tarika bahut hi aasan hai

Sabse pahle ham niche diye gaye Download par click karke Rufus naam ka software download kare.

Stap 2 :----
Download hone ke baad ise open kare.

1.  Yaha apna Pendrive Select kare,
2.  Yaha IOS Image Select kare,
3.  Yaha se apne Computer me save ki hui Window file open kare,
4.  Phir Start par click kare,

Ab kuch time tak wait kare jb pura Prosess ho haye to close kar de,
Ab aapka Bootable Pendrive taiyar hai Windows install karne ke liye

Aapko ye jankari kaisi lagi hame comment kar ke jarur bataye…….aur aapka koi sawal ho to puchna na bhule……

THANK YOU…….

No comments:

Post a Comment